Jab Tak Hai Jaan (Poem)


Song: Jab Tak Hai Jaan (Poem)
Artiste(s): Shah Rukh Khan
Lyricist: Gulzar
Composer: A.R. Rahman
Album: Jab Tak Hai Jaan

Teri aankhon ki namkeen mastiyaan
Teri hansi ki beparwaah gustaakhiyaan
Teri zulfon ki leharaathi angdaayiyaan
Nahi bhooloonga mein
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Tera haath se haath chodna
Tera saayon se rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karoonga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Baarishon mein bedhadak tere naachne se
Baat baat pe bewajaah tere roothne se
Choti choti teri bachkaani badmaashiyon se
Mohabbat karoonga mein
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Tere jhoote kasme vaadon se
Tere jalthe sulagthe khwaabon se
Tero beraham duaavon se
Nafrath karoonga mein
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Leave a comment