Song: Saanson Ke
Artiste(s): K.K.
Lyricist: Manoj Yadav
Composer: J.A.M 8 (Just About Music) (Aheer)
Album: Raees
Saanson ke,
Kisi ek mod par
Mili thi tu zindagi
Meri dost ban ke
Chal diya,
Teri baat maan kar
Tera haath thaam kar
Tujhe saathi chun ke
Main kis manzil ka raahi hoon
Tu kin raahon pe laayi he
Samajh paavun na main tujhko
Naa tu mujhko
Jo na manzoor hai mujhko
Wohi manzoor hai tujhko
Samajh paavun na main tujhko
Naa tu mujhko
Jo le liya tha tune faizlaa
Zameen pe aasmaan main rakh diyaa
Main chaavun mein lapete, dhoop ko
Kaha jo tune kehnaa, kar diyaa
Chalaa main apni manzil ko
Ja tu bhi laut jaa ghar ko
Samajh paavun na mein tujhko
Naa tu mujhko
((Jo na manzoor hai mujhko
Wohi manzoor hai tujhko
Samajh paavun na main tujhko
Naa tu mujhko))