A Complete Journey Through Music
Song: Saathiya
Artiste(s): Sonu Nigam
Lyricist: Gulzar
Composer: A.R. Rahman
Album: Saathiya
Saathiyaa…hmmm
Saathiyaa…hmmm
Maddham maddham teri geeli hansi
Saathiyaa…hmmm
Saathiyaa…hmmm
Sunke humne saari peeli hansi
Ohoho….
Hansti rahe tu hansti rahe
Hayaa ki laali khilti rahe
Zulf ke neeche gardan pe
Subah-o-shaam milti rahe
(Hansti rahe tu hansti rahe
Hayaa ki laali khilti rahe
Zulf ke neeche gardan pe
Subah-o-shaam milti rahe)
Saundhi si hansi teri
Khilti rahe milti rahe
Peeli dhoop pehenke tum
Dekho bhaag main mat jaanaa
Bhanwre tumko sab chedenge
Phoolon main mat jaanaa
Maddham, maddham, hans de phir se
Sona, sona, phir se hans de
Taazaa gire pathe ki tarah
Sabz lawn par lethe huve
Saath rang hai bahaaron ke
Ek adaa main lapete huve
Saawan bhaadon saare tumse…
Mausam, mausam, hanste rehna
Maddham, maddham, hanste rehna
((Saathiyaa…hmmm
Saathiyaa…hmmm))
((Maddham maddham teri geeli hansi))
O..
((Saathiyaa…hmmm
Saathiyaa…hmmm))
((Sunke humne saari peeli hansi))
Kabhi neeli aasmaan pe
Chalo ghoomne chale hum
Koi abr mil gayaa tho
Zameen pe baras le hum
Teri baali hil gayi hai
Kabhi shab, chamak uddi hai
Kabhi shaam khil gayi hai
Tere baalon ki panaah main
Yeh siyaa raat guzre
Teri khaali khaali aankhein
Koi ujli baat uthre
Teri ek hansi ke badle
Meri yeh zameen le le
Mera aasmaan le le
((Saathiyaa…hmmm
Saathiyaa…hmmm))
((Maddham maddham teri geeli hansi))
O..
((Saathiyaa…hmmm
Saathiyaa…hmmm))
((Sunke humne saari peeli hansi))
Barf giri ho vaadi main
Oon main lipti simti huyi
Barf giri ho vaadi main
Aur hansi teri goonche
Oon main lipti simti huyi
Baat kare, dhuaan nikle
Garam garam ujlaa dhuaan
Naram naram ujlaa dhuaan