Song: Nikle The Kabhi Hum Ghar Se
Artiste(s): Sonu Nigam
Lyricist: Javed Akhtar
Composer: Pritam Chakraborty
Album: Dunki
Nikle the kabhi hum ghar se
Ghar dil se magar nahi nikla
Ghar basa hai har dhadkan main
Kyaa karein hum aise dil ka
Badi door se aaye hain
Badi der se aaye hain
Par yeh na koyi samjhe
Hum log paraaye hain
Katt jaaye patang jaise
Aur bhatke hawaaon main
Sach poocho toh aise
Din humne bitaaye hain
((Par yeh na koyi samjhe
Hum log paraaye hain))
Yahi nagar yahi hai basti
Aankhein thi jise tarasti
Yahaan khushiyaan thi kitni sasthi
Jaani pehchaani galiyaan
Lagti hai puraani sakhiyaan
Kahaan kho gayi woh rang raliyaan
Baazaar main chaai ke dhaabe
Bekaar ke shor sharaabe
Woh dost woh unki baatein
Woh saare din sab raatein
Kitna gehra tha gham
Inn sab ko khone ka
Yeh keh nahi paaye hum
Dil main hi chupaaye hain
((Par yeh na koyi samjhe
Hum log paraaye hain))
((Nikle the kabhi hum ghar se
Ghar dil se magar nahi nikla
Ghar basa hai har dhadkan main
Kyaa karein hum aise dil ka))
Kya humse hua, kya ho na saka
Par itna toh karna hai
Jis dharti pe janme the
Uss dharti pe marna hai
(Jis dharti pe janme the
Uss dharti pe marna hai)