Aawaara Angaara


Song: Aawaara Angaara
Artiste(s): Faheem Abdullah
Lyricist: Irshad Kamil
Composer: A.R. Rahman
Album: Tere Ishq Mein

Teri khaayanaat mere khaali haath aur
Taar taar sapne
Gaye zakhm jaag mere, seene aag lagi
Saans saans tapne

Teri khaayanaat mere khaali haath aur
Taar taar sapne
Dardo se choor gham, ka gurorr kahoon
Kya main haal apne

Aawaaraa aawaara
Aawaaraa angaaraa

Raaton main doobaa, ambar ka banjaara
Jaane toota kyoon, main sheesha na taaraa

((Teri khaayanaat mere khaali haath aur
Taar taar sapne
Gaye zakhm jaag mere, seene aag lagi
Saans saans tapne))

Koi udhaari hai seene pe bhaari hai
Patthar hai yaa dil hai
Main hi akelaa hoon main hi toh mela hoon
Yeh kaisi mehfil hai

Rootte savere hain aadhe yeh mere hain
Aadhe hain yeh tere
Tu hai nigaahon main lava hai aahon main
Par sard shaam ghere

Aawaaraa aawaara
Aawaaraa angaaraa

Aansu hai mere, yaa pighlaa hai paara
Jaane toottaa kyoon, main sheesha, naa taaraa

Mere imtehaan tu jo le raha hai
Ab na riyaayatein kar
Maine ishq seekha maine pyaar seekha
Tu chaahe nafratein kar

Maine dil diya hai maine dukh liya hai
Tu sauda hi maan le par
Mere imtehaan tu jo le raha hai
Ab na riyaayatein kar

((Aawaaraa aawaara
Aawaaraa angaaraa))

((Raaton main doobaa, ambar ka banjaara
Jaane toota kyoon, main sheesha na taaraa))

((Mere imtehaan tu jo le raha hai
Ab na riyaayatein kar
Maine ishq seekha maine pyaar seekha
Tu chaahe nafratein ka))

Leave a comment